Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi
Kya ajab cheez hai ye kaagaz bhiBaarishon mein hai naav kaagaz ki
Sardiyon mein alaav kaagaz ki
Aasmaan mein patang kaagaz ki
Saari duniya mein jung kaagaz kiKabhi akhbaar kabhi khat kaagaz
Rozmaraah ki zaroorat kaagaz
Aane jaane ki sahulat kaagaz
Jeene marne ki ijazat kaagazPyar ki chitthiyan bhi kaagaz ki
Kaam ki arziyan bhi kaagaz ki
Jashn mein jhandiya bhi kaagaz ki
Jism ki mandiyan bhi kaagaz kiBane naaton ka bhi gawaah kaagaz
Kahin shaadi kahin nikaah kaagaz
Kahi talaak ka gunaah kaagaz
Banaye aur kare tabaah kaagazNote kaagaz kitaab hai kaagaz
Sabki aankhon ka khwaab hai kaagaz
Majhabo ka hisaab hai kaagaz
Raham kaagaz ajaab hai kaagazChhine le khet ghar zamee kaagaz
Pochhe aankhon ki bhi nami kaagaz
Har jagah yun hai laazmi kaagaz
Jaise ghar ka hai aadami kaagazKuch nahi hai magar hai sab kuch bhi
Kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi.